Wednesday 13 March 2013

LET'S START HAZIRAAT TAREEQA E HAZIRAAT BADSHAHE JINNAT

Jab haziraat dekhne ki zarorat ho to ek 9 ya 10 saal ke bachche ko paak saaf nehla kar bithaye,aur uske sidhe hath ke angothe par wahi kajal lagay,aus par itre heena ya gulaab zara sa lagaye,ba,ad me 3x durood sharif aur ek bar
HUWAL USAMATU SIRRINAA HOO aur 7X YA KAREEMU aur ba,ad me 3x durood pak parhkar bacche par dam karen.
isi tarah 3 martba dam karen aur bachche se kahen ke nakhon ke andar tik tik bandh kar dekhen,
pahle usay apna chehra nazar aayega,uske ba,ad hukam lagaye medaan hazir ho jao.bache ko medan nazar aayega.jab medan dikhen to hukm lagayen zadu wala hazir ho jab nazar aayen to usay medan saaf karne ka hukam de.phir paani chhirakne wala(bhishti)ko bulayen aur usay pani chhirakne ka hukam de.uske ba,ad bichhona wale ko bulao aur bichhane ka hukam de.phir hukam lagaye takht shahi aur kursia bichhay jayen.jab bacha kahen ki takht aur kursia rakhdi gayi he to hukam karon ki Badshah e waqt hazir hon.
koi buzurg safed ya haren(green) ya surkh(laal) libas me aayenge.
agar laal(red)libas pahna ho to adab se 3 martba salaam karen aur haren ya safed libas me aanay ki arz karen.jab safed ya haraa libas pahn kar aayen to 3 salaam karen.woh hath ya sar hila kar ishare se jawab denge.salaam ka jawab de to apne sawal ki ijazat mange aur kahen hazrat ham kuchh puchhna chahtay hai,uska sahih jawab milega?
jab wo ha kahen to ek black bord aur chok mangwayen aur aap jo bhi zaban jante ho uss zaban me jawab likhxe ka kahen.wo uss zaban me jawab likh kar batayenge.
aur agar door ka mamla ho aur wahan ka haal malum karna hoto gaadi mangwayen aur bache ko uss gaadi me sair karane ka hukam de.door door ke sehar gaon ya jagah ki sair karayenge.aur wahan jo jo hoga wo bache ko dikhay dega.isi tarha har mamlay ka haal maloom kar saktay hai.jaise marz ka sabb,aaseb,balaa ya jaadu.sab haal malom ho jayega.
siway na jaez aur haraam chizon ke aur baaton ke,har kism ka haal maloom hoga.
es hazirat me jino ke 4 badshah hazir hotay hai.jab hazir honge tab nam puchhnay pe wo likh kar batayenge.
ye badshahe waqt 4 hain

1. Badshah Baktanus
2. Badshah Meimun jangi
3.Badshah fameel shah
4.Badshah Mahammad shah
NOTE:
jab laal libas me aayen to koi sawal n punchhay ki wo gussay me hote hai.haray ya safed libas me aayen tab hi sawal punchhay.
aur kaale libas me aayen to shaitan hai.unhay wapis jaanay ka hukm de.
jin balaa ka mamlaa ho to pahle bache aur apna 11x aayetal kursi parhkar hisar karle.
ye hazirat bahot sahih jawab deti he

7 comments:

  1. As salam alaikum.
    Whatever you have posted is 100% correct as it happened with me when i was young. One my hafiz sahab did this with me

    ReplyDelete
  2. Kindly inbox me your no. In sum difficulties need your advice. Plz help me out i request. Plz plz revert me. My email add : irfanshaikh23@hotmail.com

    ReplyDelete
  3. is kajal wali hazra ki mene 1998 me jakat di thhi 8 saal tak is kajal se faida uthhaya. magar is hazrat me badshah jinn kabhi naam nahi bataya puchhne par.!aur haa is hazrat se jab taluk pakka ho jataa he. tab khwab me aanaa suru hojate he is hazraat ke khadim aur agar tum muraqba karne ke aadi ho to fir tum ko mushkil ke waqt iske khadim gumaan me tumse baate karte he..is hazraat me mujhko kaafi kuchh mila jo bayaan se bahir he.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Janab is ki jakat kese dete he or kitni he

      Delete
    2. Janab is ki jakat kese dete he or kitni he

      Delete
    3. hamko nahi dekh ta kya o sirf bache ko hi dekhta kya sab manjar

      Delete
  4. Aslam.O.alaikum warehmatullah wabarakaatuho
    Hope u fine
    Can you tell me about the kajal Plz
    I don't know how I get that or how I make that
    What's the kajal I don't know really bro
    I'm gunna leave my email Plz contact me as soon as possible jazakAllah

    Imran_ali318@hotmail.com

    If anyone wanna join me on facebook
    Sanwal.sarkar@hotmail.co.uk
    Muhammad Imran prince kashmiri

    I'm reading Naats is well u can watch me on YouTube & Noor TV UK
    Same name on YouTube jazakAllah

    ReplyDelete