Wednesday 13 March 2013

¥ LET'S START HAZIRAAT ¥

Kajal banay ke liye jo chizen chahiye wo likhta hoon.* 12 adad kafoor(menthol) ki tikia
* rose water
* 2 china plate
* rooy
* machis
* heena itar
* ek chhoti dibbi kajal bhar nay ke liye
¥ TARKEEB ¥
Kafoor ki tikia ko rose water me 72 ghante bhigo kar rakh day.
72 ghante ba,ad uss pani ko ek china plate me nikale aur uss me rooy
ki batti bhigo de.
Ek plate ko usske upper ulta tang day.es tarha ki jab wo batti ko
jalaye to uska dhoaa uss plate par lagay.
Ab batti ko machis se bismilla....,parh kar jala day.khyal rakhye ki
uthnay wala dhoaa achhi tarha palate par lagay taki zyada kajal hasil
hon.
Jab poora paani aur batti jal jaye tab plate ko thanda honay day.kuchh
dair ba,ad jab plate thandi ho jaye toa uss plate ka saraa kajal jo
dhoaa lagnay ki wajeh se banaa hai,ussay ahtiyat say nikal kar dibbi
me bharlay aur uss me kuchh katre heena itar dalay.lekin khyal rakhye
ki zyada n dalde.bas,utna dalay ki kajal ki pest taiyar ho jaye.
Bas,kajal baray haziraat taiyar hain.
Ab 3 din ka apko waqt day rahan hoon.kajal taiyar kar rakhen phir amal
haziraat ki parhai jo uss kajal par karni hain,wo bataonga...!
Inshallah.
Mujh faqir k haq me dua kijyega.
W sallam

1 comment: